Wednesday 29 April 2015

Friday 24 April 2015

Apny Laboon Ko Dushmn-E-izhar Mat Banar | faraz

Apny Laboon Ko Dushmn-E-izhar Mat Bana. . . ! !
Sachay Hein Jo, Unhein Gunahgar Mat Bana. . . ! !
Jitny Bhi Lafz Hein Wo Mehktay GuLab Hein. . . ! !
Lehjay K Farq sE Unhein TaLwaar Mat Bana. . . ! !
iLzaam! Kuch Tu Gardish-E-Aiyaam Ko Bhi dE. . . ! !
Apny Har Aik Ghum Ko Ghum-E-Yaar Mat Bana. . . ! !
Har Aik K Liye KhuLa Mat Rakh issy “faraz”. . . ! !
Yeh DiL Aik Ghar Hy, issy Bazaar Mat Bana…

Her shab wo mere khabon mein chala aata hai…

Her shab wo mere khabon mein chala aata hai…

faraz

khwahish hai jis sey mujhe haqiqat main milne ki…

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua | faraz

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua

Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua

Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua

RaT bhar Girte RaheyUn par Mere Ansoo

RaT bhar Girte RaheyUn par Mere Ansoo

FaraZ

Subha Hote hi Wo bolay k Raat Shabnam bhot Thi

WAFA KI QADAR TO AJ B BOHOT HAY FARAZ

WAFA KI QADAR TO AJ B BOHOT HAY FARAZ

Faqat MIT CHUKAY HAY TOOT KAY CHAHNAY WALAY

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay | faraz

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay

Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay

Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay

Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay

Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay

Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay

Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay

Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay

Suna Hy Zindgi ,, | faraz

Suna Hy Zindgi 
Imtehan Leti Hy

Lekan

Yahan To Imtehanu'n 
Ne Zindgi Ly Le Hay

Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath | faraz

Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath

Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath

Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath

Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Iss Dafa Barishain Rukti Hi Nahi Faraz

Iss Dafa Barishain Rukti Hi Nahi Faraz
Hum Ne Ansu Kiya Piya Sare Mosam Ro Pare

In Barishon Se Dosti Achi Nahi Faraz 
Kacha Makan Hain Tera Kuch To Khayal Kar

Bewafa Ne Hamare Zakham.. | Faraz

Bewafa Ne Hamare Zakham Ka Kuch Youn Ikaj Kya Faraz 
Marhan Bhi Lagaya To Khanjar Ki Nouk Se

Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga.. poetryseemi

Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga
Hayaat Mout Se Takraa Gai To Kya Ho Ga

Nayi Sahar K Bohat Log Muntazir Hain Magar
Nayi Sahar Bhi Jo Kajlaa Gai To Kya Ho Ga

Na Rah'numaaon Ki Mehfil Me Le Chalo Mujh Ko
Me Be-Adaab Hun Hansi Aa Gai To Kya Hoga

Gham-e-Hayaat Se Be-Shak Hai Khud-Kushi Aasan
Magar Jo Mout Bhi Sharmaa Gai To Kya Ho Ga...

Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal .... Seemipoetry

Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar Daalen
Kabhi Nafrat K Dariya Me Mujhe Daakhil Wo Kar Daalen

Kabhi Sultaan Bana Daalen Mujhe Apni Wo Duniya Ka
Kabhi To Sheher Me Apne Mujhe Saail Wo Kar Daalen

Kabhi Wo Be-Panah Deedar Ki Daulat Mujhe De Dein
Kabhi Parday Ki Deewaren Kadi Haayal Wo Kar Daalen

Kabhi Apne Wo Pehlu Me Mujhe Sadiyaan Sulaa Daalen
Kabhi Barson Ki Neendon Me Ajab Halchal Wo Kar Daalen..

Hajom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte Ham.. | Habib Jalib

Hajom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte Ham
Kisi Ke Dar Se Tqaza Nahi Badalte Ham

Hazar Zair Qadam Rasta Ho Kharon Ka
Jo Chal Parain Tu Irada Nahi Badalte Ham

Wo Ajab Shakhs Hai Zakhmon Ko Hawa Deta Hai, | Habib Jalib

Wo Ajab Shakhs Hai Zakhmon Ko Hawa Deta Hai
Ho Khataa Ghair Ki Aur Khud Ko Saza Deta Hai

Baant'ta Phirta Hai Basti Main Wo Patthar Sab Ko 
Sath Taakeed Ke Phir Ghar Ka Pata Deta Hai 

Who Gali Koochon Mein Phirta Hai Diwana Ban Kar 
Saamne Jisko Bhi Paata Hai Dua Deta Hai

Waaey Hairat Ke Banaaya Hai Diwaana Jisne
Uska Naam Aaye To Hangaama Uthaa Deta Hai

“Shams” Bas Ek Wahi Hai Mira Yaktaa Raaziq 
Har Ik Insaan Ko Bin Maange Khuda Deta Hai

Pakistan Ka Matlab Kya... | Habib Jalib

Roti, Kapda Aur Dawa
Ghar Rehne Ko Chhota Sa
Muft Mujhe Talim Dila
Mein Bhi Musalmaan Hoon Wallah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah…

Amrika Se Mang Na Bhik
Mat Kar Logon Ki Tazhik
Rok Na Janhoori Tehrik
Chhod Na Azadi Ki Rah
Pakistan Ka Matlab Hai Kya
La Ilaha Illalah…

Khet Waderon Se Le Lo
Milen Luteron Se Le Lo
Mulk Andheron Se Le Lo
Rahe Na Koi Alijah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah… 

Sarhad, Sindh, Baluchistan
Teenon Hain Panjab Ki Jaan
Aur Bangal Hai Sab Ki Aan
Aai Na Un Ke Lab Par Aah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah…

Baat Yehi Hai Bunyadi
Ghasib Ki Ho Barbadi
Haq Kehte Hain Haq Agah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah

Bachchon Pe Chali Goli,, | Habib Jalib

Bachchon Pe Chali Goli
Maan Dekh Ke Yeh Boli
Yeh Dil Ke Mere Tukde
Yun Royen Mere Hote
Mein Dur Khadi Dekhoon
Yeh Mujh Se Nahin Hoga 
Mein Dur Khadi Dekhun
Aur Ahl-E Sitam Khelen
Khun Se Mere Bachchon Ke
Din-Raat Yahan Holi
Bachchon Pe Chali Goli
Maan Dekh Ke Yeh Boli
Yeh Dil Ke Mere Tukde
Yun Royen Mere Hote
Mein Dur Khadi Dekhun
Yeh Mujh Se Nahin Hoga 
Meidan Mein Nikal Aayi
Ek Barq Si Lehrai
Har Dast-E Sitam Kanpa
Bandooq Bhi Tharrai
Har Simt Sada Gunji
Mein Aati Hun, Mein Aayee
Mein Aati Hun, Mein Aayee
Har Zulm Hua Batil
Aur Seham Gaye Qatil
Jab Us Ne Zaban Kholi
Bachchon Pe Chali Goli
Us Ne Kaha Khun-Khwaro!
Daulat Ke Parastaro
Dharti Hai Yeh Ham Sab Ki
Is Dharti Ko Naa-Dano!
Angrezon Ke Darbano!
Sahab Ki Ata-Kardah
Jagir Na Tum Jano
Is Zulm Se Baaz Aao
Bairak Mein Chale Jao
Kyon Chand Luteron Ki
Phirte Ho Liye Toli
Bachchon Pe Chali Goli

Bagiya Lahoo Luhan.. | Habib Jalib

Haryali Ko Aankhen Tarsen Bagiya Lahoo Luhan
Pyar Ke Geet Sunaoon Kis Ko Shehar Hue Weeran
Bagiya Lahoo Luhan 

Dasti Hain Suraj Ki Kirnen Chand Jalaye Jaan
Pag Pag Maut Ke Gehre Saye Jeewan Maut Saman
Charon Ore Hawa Phirti Hai Le Kar Teer Kaman
Bagiya Lahoo Luhan 

Chhalni Hain Kaliyon Ke Seeney Khoon Mein Lat Paat
Aur Nahjaney Kab Tak Hogi Ashkon Ki Barsaat
Dunya Walon Kab Beeteinge Dukh Ke Yeh Din Raat
Khoon Se Holi Khel Rahe Hain Dharti Ke Balwan
Bagiya Lahoo Luhan

Khuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai, | Habib Jalib

Khuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai

Lahoo Piyoge Kahan Tak Hamara Dhanwano
Badhao Apni Dukan Seem-O Zar Ke Deewano
Nishan Kahin Na Rahega Tumhara Shaitano
Hamein Yaqeen Hai Ke Insaan Usko Pyara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gaawara Hai 

Nai Shaoor Ki Hai Roshni Nigahon Mein
Ek Aag Si Bhi Hai Ab Apni Sard Aahon Mein
Khilenge Phool Nazar Ke Sahar Ki Bahon Mein
Dukhe Dilon Ko Isi Aas Ka Sahara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai

Tilism-E Sayah-E Khauf-O Hiras Todenge
Qadam Bandhayenge Zanjeere-E Yaas Todenge
Kabhi Kisi Ke Na Ham Dil Ki Aas Todenge
Rahega Yaad Jo Ehd-E Sitam Guzara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka.. | Habib Jalib

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker

Bay-Naam Say Sapnay Daikha Ker
Aye Dil Her Ja Na Phisla Ker
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker

Na Dartay Hain Na Naa-dim Hain
Na Maanain K woh Khaadim Hain
Yahan Ulti Ganga Behti Hai
Is Dais Main Andhay Haakim Hain

Yah Raqam Saray Likhtay Hain
Qawneen Yahan Na Tiktay Hain
Hai Yahan Per Karoobaar Bohat
Is Dais Main Gurday Biktay Hain

Yahan DOLLAR DOLLAR Hoti Hai
Or G.D.P Kasootti Hai
Kuch Loog Hain Aali Shaan Bohat
or Kuch Ka Nuqsaan Rootti Hai

Umeed Ko Lay Ker Parhtay Hain
Phir Degree Lay ker Phirtay Hain
Jab JOB Na Un Ke Milti Hai
Phir Khud-kush Hamlay Kartay Hain

Woh Kehtay Hain Sab Acha Hai
Or Fooj Ka Raaj Sacha Hai
Khoota Gaari Wala Kyun Yah Manay
Jab Bhooka Us Ka Bacha Hai

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker

Wo be wafa na tha younhi badnaam ho gaya...

poetry seemipoetry

Suna hai tum mujhe bhool chuke ho..

poetry seemipoetry

Bara shouq tha inhen mera aashiyana daikhne ka...

poetry seemipoetry

Dard daiti hai mujhe ab humdardi her shakhs ki...

poetry seemipoetry

Ye alag baat kah wo ap sa dikhta ho ga ..

poetry seemipoetry

Mujhse mat poch mere mahboob ki sadge ka andaaz..

poetry seemipoetry

Bay Zuban badlon ko day raha apni zuban koi...

poetry seemipoetry

Kuch aise hadse bhi zindge main hote hain.

poetry seemipoetry