Thursday, 30 April 2015
Wednesday, 29 April 2015
Wabsta jin ki yaadon sy
Wabsta jin ki yaadon sy
Mery sham o suba hen,
Un phool jaisy logo ko,
Ya RAB, Kabi Udaas na kerna,
AMEEN
Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi..
Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hota
GHum batne Ki Cheezz Nahi Pher B Dosto...
GHum batne Ki Cheezz Nahi Pher B Dosto
Aik Dosre K HAal Se Waqif Raha kro...
My Heart voice...
Tuesday, 28 April 2015
Monday, 27 April 2015
Friday, 24 April 2015
Apny Laboon Ko Dushmn-E-izhar Mat Banar | faraz
Apny Laboon Ko Dushmn-E-izhar Mat Bana. . . ! !
Sachay Hein Jo, Unhein Gunahgar Mat Bana. . . ! !
Jitny Bhi Lafz Hein Wo Mehktay GuLab Hein. . . ! !
Lehjay K Farq sE Unhein TaLwaar Mat Bana. . . ! !
iLzaam! Kuch Tu Gardish-E-Aiyaam Ko Bhi dE. . . ! !
Apny Har Aik Ghum Ko Ghum-E-Yaar Mat Bana. . . ! !
Har Aik K Liye KhuLa Mat Rakh issy “faraz”. . . ! !
Yeh DiL Aik Ghar Hy, issy Bazaar Mat Bana…
Her shab wo mere khabon mein chala aata hai…
Her shab wo mere khabon mein chala aata hai…
faraz
khwahish hai jis sey mujhe haqiqat main milne ki…
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua | faraz
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
RaT bhar Girte RaheyUn par Mere Ansoo
RaT bhar Girte RaheyUn par Mere Ansoo
FaraZ
Subha Hote hi Wo bolay k Raat Shabnam bhot Thi
WAFA KI QADAR TO AJ B BOHOT HAY FARAZ
WAFA KI QADAR TO AJ B BOHOT HAY FARAZ
Faqat MIT CHUKAY HAY TOOT KAY CHAHNAY WALAY
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay | faraz
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
Suna Hy Zindgi ,, | faraz
Suna Hy Zindgi
Imtehan Leti Hy
Lekan
Yahan To Imtehanu'n
Ne Zindgi Ly Le Hay
Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath | faraz
Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath
Iss Dafa Barishain Rukti Hi Nahi Faraz
Iss Dafa Barishain Rukti Hi Nahi Faraz
Hum Ne Ansu Kiya Piya Sare Mosam Ro Pare
In Barishon Se Dosti Achi Nahi Faraz
Kacha Makan Hain Tera Kuch To Khayal Kar
Bewafa Ne Hamare Zakham.. | Faraz
Bewafa Ne Hamare Zakham Ka Kuch Youn Ikaj Kya Faraz
Marhan Bhi Lagaya To Khanjar Ki Nouk Se
Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga.. poetryseemi
Nazr-e-Fareb Qazaa Kha Gai To Kya Ho Ga
Hayaat Mout Se Takraa Gai To Kya Ho Ga
Nayi Sahar K Bohat Log Muntazir Hain Magar
Nayi Sahar Bhi Jo Kajlaa Gai To Kya Ho Ga
Na Rah'numaaon Ki Mehfil Me Le Chalo Mujh Ko
Me Be-Adaab Hun Hansi Aa Gai To Kya Hoga
Gham-e-Hayaat Se Be-Shak Hai Khud-Kushi Aasan
Magar Jo Mout Bhi Sharmaa Gai To Kya Ho Ga...
Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal .... Seemipoetry
Kabhi Itna Wo Chaahen K Mujhe Pagal Wo Kar Daalen
Kabhi Nafrat K Dariya Me Mujhe Daakhil Wo Kar Daalen
Kabhi Sultaan Bana Daalen Mujhe Apni Wo Duniya Ka
Kabhi To Sheher Me Apne Mujhe Saail Wo Kar Daalen
Kabhi Wo Be-Panah Deedar Ki Daulat Mujhe De Dein
Kabhi Parday Ki Deewaren Kadi Haayal Wo Kar Daalen
Kabhi Apne Wo Pehlu Me Mujhe Sadiyaan Sulaa Daalen
Kabhi Barson Ki Neendon Me Ajab Halchal Wo Kar Daalen..
Hajom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte Ham.. | Habib Jalib
Hajom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte Ham
Kisi Ke Dar Se Tqaza Nahi Badalte Ham
Hazar Zair Qadam Rasta Ho Kharon Ka
Jo Chal Parain Tu Irada Nahi Badalte Ham
Wo Ajab Shakhs Hai Zakhmon Ko Hawa Deta Hai, | Habib Jalib
Wo Ajab Shakhs Hai Zakhmon Ko Hawa Deta Hai
Ho Khataa Ghair Ki Aur Khud Ko Saza Deta Hai
Baant'ta Phirta Hai Basti Main Wo Patthar Sab Ko
Sath Taakeed Ke Phir Ghar Ka Pata Deta Hai
Who Gali Koochon Mein Phirta Hai Diwana Ban Kar
Saamne Jisko Bhi Paata Hai Dua Deta Hai
Waaey Hairat Ke Banaaya Hai Diwaana Jisne
Uska Naam Aaye To Hangaama Uthaa Deta Hai
“Shams” Bas Ek Wahi Hai Mira Yaktaa Raaziq
Har Ik Insaan Ko Bin Maange Khuda Deta Hai
Pakistan Ka Matlab Kya... | Habib Jalib
Roti, Kapda Aur Dawa
Ghar Rehne Ko Chhota Sa
Muft Mujhe Talim Dila
Mein Bhi Musalmaan Hoon Wallah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah…
Amrika Se Mang Na Bhik
Mat Kar Logon Ki Tazhik
Rok Na Janhoori Tehrik
Chhod Na Azadi Ki Rah
Pakistan Ka Matlab Hai Kya
La Ilaha Illalah…
Khet Waderon Se Le Lo
Milen Luteron Se Le Lo
Mulk Andheron Se Le Lo
Rahe Na Koi Alijah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah…
Sarhad, Sindh, Baluchistan
Teenon Hain Panjab Ki Jaan
Aur Bangal Hai Sab Ki Aan
Aai Na Un Ke Lab Par Aah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah…
Baat Yehi Hai Bunyadi
Ghasib Ki Ho Barbadi
Haq Kehte Hain Haq Agah
Pakistan Ka Matlab Kya
La Ilaha Illalah
Bachchon Pe Chali Goli,, | Habib Jalib
Bachchon Pe Chali Goli
Maan Dekh Ke Yeh Boli
Yeh Dil Ke Mere Tukde
Yun Royen Mere Hote
Mein Dur Khadi Dekhoon
Yeh Mujh Se Nahin Hoga
Mein Dur Khadi Dekhun
Aur Ahl-E Sitam Khelen
Khun Se Mere Bachchon Ke
Din-Raat Yahan Holi
Bachchon Pe Chali Goli
Maan Dekh Ke Yeh Boli
Yeh Dil Ke Mere Tukde
Yun Royen Mere Hote
Mein Dur Khadi Dekhun
Yeh Mujh Se Nahin Hoga
Meidan Mein Nikal Aayi
Ek Barq Si Lehrai
Har Dast-E Sitam Kanpa
Bandooq Bhi Tharrai
Har Simt Sada Gunji
Mein Aati Hun, Mein Aayee
Mein Aati Hun, Mein Aayee
Har Zulm Hua Batil
Aur Seham Gaye Qatil
Jab Us Ne Zaban Kholi
Bachchon Pe Chali Goli
Us Ne Kaha Khun-Khwaro!
Daulat Ke Parastaro
Dharti Hai Yeh Ham Sab Ki
Is Dharti Ko Naa-Dano!
Angrezon Ke Darbano!
Sahab Ki Ata-Kardah
Jagir Na Tum Jano
Is Zulm Se Baaz Aao
Bairak Mein Chale Jao
Kyon Chand Luteron Ki
Phirte Ho Liye Toli
Bachchon Pe Chali Goli
Bagiya Lahoo Luhan.. | Habib Jalib
Haryali Ko Aankhen Tarsen Bagiya Lahoo Luhan
Pyar Ke Geet Sunaoon Kis Ko Shehar Hue Weeran
Bagiya Lahoo Luhan
Dasti Hain Suraj Ki Kirnen Chand Jalaye Jaan
Pag Pag Maut Ke Gehre Saye Jeewan Maut Saman
Charon Ore Hawa Phirti Hai Le Kar Teer Kaman
Bagiya Lahoo Luhan
Chhalni Hain Kaliyon Ke Seeney Khoon Mein Lat Paat
Aur Nahjaney Kab Tak Hogi Ashkon Ki Barsaat
Dunya Walon Kab Beeteinge Dukh Ke Yeh Din Raat
Khoon Se Holi Khel Rahe Hain Dharti Ke Balwan
Bagiya Lahoo Luhan
Khuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai, | Habib Jalib
Khuda Tumhara Nahi Hai Khuda Hamara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
Lahoo Piyoge Kahan Tak Hamara Dhanwano
Badhao Apni Dukan Seem-O Zar Ke Deewano
Nishan Kahin Na Rahega Tumhara Shaitano
Hamein Yaqeen Hai Ke Insaan Usko Pyara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gaawara Hai
Nai Shaoor Ki Hai Roshni Nigahon Mein
Ek Aag Si Bhi Hai Ab Apni Sard Aahon Mein
Khilenge Phool Nazar Ke Sahar Ki Bahon Mein
Dukhe Dilon Ko Isi Aas Ka Sahara Hai
Khuda Tumhara Nahin Hai Khuda Hamara Hai
Use Zameen Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
Tilism-E Sayah-E Khauf-O Hiras Todenge
Qadam Bandhayenge Zanjeere-E Yaas Todenge
Kabhi Kisi Ke Na Ham Dil Ki Aas Todenge
Rahega Yaad Jo Ehd-E Sitam Guzara Hai
Use Zamin Pe Yeh Zulm Kab Gawara Hai
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka.. | Habib Jalib
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker
Bay-Naam Say Sapnay Daikha Ker
Aye Dil Her Ja Na Phisla Ker
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker
Na Dartay Hain Na Naa-dim Hain
Na Maanain K woh Khaadim Hain
Yahan Ulti Ganga Behti Hai
Is Dais Main Andhay Haakim Hain
Yah Raqam Saray Likhtay Hain
Qawneen Yahan Na Tiktay Hain
Hai Yahan Per Karoobaar Bohat
Is Dais Main Gurday Biktay Hain
Yahan DOLLAR DOLLAR Hoti Hai
Or G.D.P Kasootti Hai
Kuch Loog Hain Aali Shaan Bohat
or Kuch Ka Nuqsaan Rootti Hai
Umeed Ko Lay Ker Parhtay Hain
Phir Degree Lay ker Phirtay Hain
Jab JOB Na Un Ke Milti Hai
Phir Khud-kush Hamlay Kartay Hain
Woh Kehtay Hain Sab Acha Hai
Or Fooj Ka Raaj Sacha Hai
Khoota Gaari Wala Kyun Yah Manay
Jab Bhooka Us Ka Bacha Hai
Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker
Thursday, 23 April 2015
Tujhe Bhoolkar Bhi Na,... | seemipoetry
Tujhe Bhoolkar Bhi Na Bhool Payenge Hum
Bas Yahi Ek Wada Nibha Payenge Hum
Mita Denge Khud Ko Bhi Jahan Se Lekin
TeraNaam Dil Se Na Mita Payenge Hum
Wednesday, 22 April 2015
Kitabon Main Rakh K Sula Gaya Humko | seemipoetry
Kitabon Main Rakh K Sula Gaya Humko
Aankh Band Ki Or Bhula Gaya Humko
Koi Ajeeb Mussawar Tha JoBaarishon K Mausam Mein
Kachi Deewaron Pe Bana Gaya Humko
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo, | seemipoetry
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?
Tumhe jb kabhi mile fursat meray..| seemipoetry
Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhoj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!
Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota.. | seemipoetry
Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,
Aapne Qadr Kuchh Na Ki Dil Ki. | seemipoetry
Aapne Qadr Kuchh Na Ki Dil Ki
Ud Gai Muft Men Hansi Dil Ki
Aabru Kuchh To Rah Gai Dil Ki
Jo Nahin Jaante Lagi Dil Ki
Al-Gharaz Baat Rah Gai Dil Ki
Un Se Kuchh To Mila Wo Gham Hi Sahi
Kuchh Ajab Shai Hai Be-Khudi Dil Ki
Mar Mite Hum Na Ho Saki Puri
Wo Jo Bigde Raqib Se Hasrat
Hama-Tan Sarf-E-Hoshyari-E-Ishq
Yaad Har Haal Men Rahe Wo Mujhe
Aur Bhi Baat Ban Gai Dil Ki
Gham Se Wabasta Hai Khushi Dil Ki
Bekali Humne Dekh Li Dil Ki
Mil Chuki Hum Ko Un Se Dad-E-Wafa
Aarzu Tum Se Ek Bhi Dil Ki
Khu Hai Az-Bas Ki Aashiqi Dil Ki
Chain Se Mahw-E-Khwab-E-Naz Men Wo
Bite Rishte Talash Karti Hai.. | seemipoetry
Bite Rishte Talash Karti Hai
Khushbu Ghunche Talash Karti Hai
Khat Ke Purze Talash Karti Hai
Apne Mazi Ki Justuju Men Bahaar
Apne Tukde Talash Karti Hai
Apne Bete Talash Karti Hai
Ek Ummid Bar Bar Aa Kar
Budhi Pagdandi Shahr Tak Aa Kar
Pile Patte Talash Karti Hai
Jab Guzarti Hai Us Gali Se Saba
Kiyon Gareeb Ka Khon Bahate Ho | seemipoetry
Kiyon Gareeb Ka Khon Bahate Ho
Kiyon Sitam Gareeb Pe Dhate Ho
Tum Haste Baste Logon Ko
Kiyon Khoon Ke Anso Rulate Ho
Be Jurmo Be Bas Logon Ke
Sare Am Kiyon Lashe Girate Ho
Majboor Hain Ye Haidri Ki Tarha
Bilawajha Kiyon In Ko Satate Ho
Be Chaino Ko Kiyon Satate Ho...| seemipoetry
Be Chaino Ko Kiyon Satate Ho
Kiyon Dukhi Dilon Ko Dukhate Ho
Jo Ji Main Aiye Keh Do Tum
Kiyon Dil Ki Baat Chupate Ho
Mere Paas A Ker Mujhe Apna Banao
Kiyon Mujh Se Jaan Churate Ho
Tum Chor Do Sath Raqeebon Ka
Kiyon Mere Dil Ko Jalate Ho
Paas Haidri Ke Tum Baitha Karo
Kiyon Mujh Se Tum Sharmate Ho
Subscribe to:
Posts (Atom)